Monday, 6 November 2017

Chala Jaaunga

Chala jaaunga aaye dost
Mai ek din chala jaaunga
Jab tere pass, tere saath
Koi nahi hoga
Ek mai hi tere dil me yaad
Banke aaunga.
Haa! Sahi suna tumne
Mai chala jaaunga
Ye duniya ye jahan
Sab kuch choddh ke
Bahut dur nikal jaaunga
Sabko jana hi hota hai
Mai bhi chala jaaunga
Tere laakh bulane ke
Baad bhi mai wapas
nahi aaaunga
Aye dost
Mai chala jaaunga
Hoga saath na tera mera
Fir kabhi
Hounga na pass tere mai
Fir kabhi
Kyuki mai bahut dur nikal jaaunga
Iss duniya iss jahan se chala
Jaunga, Hamesa hmesa ke liye
Chala jaunga
Aye dost
Mai chala jaaunga
Chala jaaunga...😢😢


-Alok 

No comments:

Post a Comment