Aaj phir kuch likhne ko dil kar raha
Kya likhu, likhu uski wo nam aakhe
Yaa likhu uski wo hasi baate
Kaise likhu wo humari aakhiri mulakate
Dil aaj bhi udass baitha hai
Baitha hai aaj bhi uske intazar me
Wo udasi likhu, ya apni barbadi likhu
Kaise likhu wo humari aakhiri baate
Naa jaane wo konsi baat hai
Kar rahi mujhko majbur yeha
Aaj phir likhne ko kar rha dil yeha
Par kaise uska mai rona likhu
Kaise khud ko mai usse khona likhu
Aaj bhi mai tera saath likhu
Yaa mai abb khud ko barbaad likhu
Tujhko rulaya tha maine dil se
Toh kaise mai khud ko aabaad likhu
Udaasi kaa mera mai saath likhu
abb mai khud ko barbaad likhu
Khud ko hi barbaad likhu
-Alok K. Mishra
No comments:
Post a Comment